101
Bādshāh kī Hukūmat Kaisī Honī Chāhie?
1 Dāūd kā zabūr.
Maiṅ shafqat aur insāf kā gīt gāūṅgā. Ai Rab, maiṅ terī madahsarāī karūṅga.
2 Maiṅ baṛī ehtiyāt se be'ilzām rāh par chalūṅgā. Lekin tū kab mere pās āegā? Maiṅ ḳhulūsdilī se apne ghar meṅ zindagī guzārūṅga.
3 Maiṅ sharārat kī bāt apne sāmne nahīṅ rakhtā aur burī harkatoṅ se nafrat kartā hūṅ. Aisī chīzeṅ mere sāth lipaṭ na jāeṅ.
4 Jhūṭā dil mujh se dūr rahe. Maiṅ burāī ko jānanā hī nahīṅ chāhtā.
5 Jo chupke se apne paṛosī par tohmat lagāe use maiṅ ḳhāmosh karāūṅgā, jis kī āṅkheṅ maġhrūr aur dil mutakabbir ho use bardāsht nahīṅ karūṅga.
6 Merī āṅkheṅ mulk ke wafādāroṅ par lagī rahtī haiṅ tāki wuh mere sāth raheṅ. Jo be'ilzām rāh par chale wuhī merī ḳhidmat kare.
7 Dhokebāz mere ghar meṅ na ṭhahre, jhūṭ bolne wālā merī maujūdagī meṅ qāym na rahe.
8 Har subah ko maiṅ mulk ke tamām bedīnoṅ ko ḳhāmosh karāūṅgā tāki tamām badkāroṅ ko Rab ke shahr meṅ se miṭāyā jāe.