110
Abadī Bādshāh aur Imām
1 Dāūd kā zabūr.
Rab ne mere Rab se kahā, “Mere dahne hāth baiṭh, jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāṅwoṅ kī chaukī na banā dūṅ.”
2 Rab Siyyūn se terī saltanat kī sarhaddeṅ baṛhā kar kahegā, “Ās-pās ke dushmanoṅ par hukūmat kar!”
3 Jis din tū apnī fauj ko khaṛā karegā terī qaum ḳhushī se tere pīchhe ho legī. Tū muqaddas shān-o-shaukat se ārāstā ho kar tulū-e-subah ke bātin se apnī jawānī kī os pāegā.
4 Rab ne qasam khāī hai aur is se pachhtāegā nahīṅ, “Tū abad tak imām hai, aisā imām jaisā Malik-e-sidq thā.”
5 Rab tere dahne hāth par rahegā aur apne ġhazab ke din dīgar bādshāhoṅ ko chūr chūr karegā.
6 Wuh qaumoṅ meṅ adālat karke maidān ko lāshoṅ se bhar degā aur dūr tak saroṅ ko pāsh pāsh karegā.
7 Rāste meṅ wuh nadī se pānī pī legā, is lie apnā sar uṭhāe phiregā.