98
Pūrī Duniyā kā Shāhī Munsif
1 Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, kyoṅki us ne mojize kie haiṅ. Apne dahne hāth aur muqaddas bāzū se us ne najāt dī hai.
2 Rab ne apnī najāt kā elān kiyā aur apnī rāstī qaumoṅ ke rūbarū zāhir kī hai.
3 Us ne Isrāīl ke lie apnī shafqat aur wafā yād kī hai. Duniyā kī intahāoṅ ne sab hamāre Ḳhudā kī najāt dekhī hai.
4 Ai pūrī duniyā, nāre lagā kar Rab kī madahsarāī karo! Āpe meṅ na samāo aur jashn manā kar hamd ke gīt gāo!
5 Sarod bajā kar Rab kī madahsarāī karo, sarod aur gīt se us kī satāish karo.
6 Turam aur narsingā phūṅk kar Rab Bādshāh ke huzūr ḳhushī ke nāre lagāo!
7 Samundar aur jo kuchh us meṅ hai, duniyā aur us ke bāshinde ḳhushī se garaj uṭheṅ.
8 Dariyā tāliyāṅ bajāeṅ, pahāṛ mil kar ḳhushī manāeṅ,
9 wuh Rab ke sāmne ḳhushī manāeṅ. Kyoṅki wuh zamīn kī adālat karne ā rahā hai. Wuh insāf se duniyā kī adālat karegā, rāstī se qaumoṅ kā faislā karegā.