93
Allāh Abadī Bādshāh Hai
1 Rab Bādshāh hai, wuh jalāl se mulabbas hai. Rab jalāl se mulabbas aur qudrat se kamarbastā hai. Yaqīnan duniyā mazbūt buniyād par qāym hai, aur wuh nahīṅ ḍagmagāegī.
2 Terā taḳht qadīm zamāne se qāym hai, tū azal se maujūd hai.
3 Ai Rab, sailāb garaj uṭhe, sailāb shor machā kar garaj uṭhe, sailāb ṭhāṭheṅ mār kar garaj uṭhe.
4 Lekin ek hai jo gahre pānī ke shor se zyādā zorāwar, jo samundar kī ṭhāṭhoṅ se zyādā tāqatwar hai. Rab jo bulandiyoṅ par rahtā hai kahīṅ zyādā azīm hai.
5 Ai Rab, tere ahkām har tarah se qābil-e-etamād haiṅ. Terā ghar hameshā tak quddūsiyat se ārāstā rahegā.