51
Mujh Jaise Gunāhgār par Rahm Kar! (Taubā kā Chauthā Zabūr)
1 Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yih gīt us waqt se mutālliq hai jab Dāūd ke Bat-sabā ke sāth zinā karne ke bād Nātan Nabī us ke pās āyā.
Ai Allāh, apnī shafqat ke mutābiq mujh par mehrbānī kar, apne baṛe rahm ke mutābiq merī sarkashī ke dāġh miṭā de.
2 Mujhe dho de tāki merā qusūr dūr ho jāe, jo gunāh mujh se sarzad huā hai us se mujhe pāk kar.
3 Kyoṅki maiṅ apnī sarkashī ko māntā hūṅ, aur merā gunāh hameshā mere sāmne rahtā hai.
4 Maiṅ ne tere, sirf tere hī ḳhilāf gunāh kiyā, maiṅ ne wuh kuchh kiyā jo terī nazar meṅ burā hai. Kyoṅki lāzim hai ki tū bolte waqt rāst ṭhahre aur adālat karte waqt pākīzā sābit ho jāe.
5 Yaqīnan maiṅ gunāhālūdā hālat meṅ paidā huā. Jyoṅ hī maiṅ māṅ ke peṭ meṅ wujūd meṅ āyā to gunāhgār thā.
6 Yaqīnan tū bātin kī sachchāī pasand kartā aur poshīdagī meṅ mujhe hikmat kī tālīm detā hai.
7 Zūfā le kar mujh se gunāh dūr kar tāki pāk-sāf ho jāūṅ. Mujhe dho de tāki barf se zyādā safed ho jāūṅ.
8 Mujhe dubārā ḳhushī aur shādmānī sunane de tāki jin haḍḍiyoṅ ko tū ne kuchal diyā wuh shādiyānā bajāeṅ.
9 Apne chehre ko mere gunāhoṅ se pher le, merā tamām qusūr miṭā de.
10 Ai Allāh, mere andar pāk dil paidā kar, mujh meṅ nae sire se sābitqadam rūh qāym kar.
11 Mujhe apne huzūr se ḳhārij na kar, na apne muqaddas Rūh ko mujh se dūr kar.
12 Mujhe dubārā apnī najāt kī ḳhushī dilā, mujhe musta'id rūh atā karke saṅbhāle rakh.
13 Tab maiṅ unheṅ terī rāhoṅ kī tālīm dūṅgā jo tujh se bewafā ho gae haiṅ, aur gunāhgār tere pās wāpas āeṅge.
14 Ai Allāh, merī najāt ke Ḳhudā, qatl kā qusūr mujh se dūr karke mujhe bachā. Tab merī zabān terī rāstī kī hamd-o-sanā karegī.
15 Ai Rab, mere hoṅṭoṅ ko khol tāki merā muṅh terī satāish kare.
16 Kyoṅki tū zabah kī qurbānī nahīṅ chāhtā, warnā maiṅ wuh pesh kartā. Bhasm hone wālī qurbāniyāṅ tujhe pasand nahīṅ.
17 Allāh ko manzūr qurbānī shikastā rūh hai. Ai Allāh, tū shikastā aur kuchle hue dil ko haqīr nahīṅ jānegā.
18 Apnī mehrbānī kā izhār karke Siyyūn ko ḳhushhālī baḳhsh, Yarūshalam kī fasīl tāmīr kar.
19 Tab tujhe hamārī sahīh qurbāniyāṅ, hamārī bhasm hone wālī aur mukammal qurbāniyāṅ pasand āeṅgī. Tab terī qurbāngāh par bail chaṛhāe jāeṅge.