12
Fasah kī Īd
1 Phir Rab ne Misr meṅ Mūsā aur Hārūn se kahā, 2 “Ab se yih mahīnā tumhāre lie sāl kā pahlā mahīnā ho.” 3 Isrāīl kī pūrī jamāt ko batānā ki is mahīne ke dasweṅ din har ḳhāndān kā sarparast apne gharāne ke lie lelā yānī bheṛ yā bakrī kā bachchā hāsil kare. 4 Agar gharāne ke afrād pūrā jānwar khāne ke lie kam hoṅ to wuh apne sab se qarībī paṛosī ke sāth mil kar lelā hāsil kareṅ. Itne log us meṅ se khāeṅ ki sab ke lie kāfī ho aur pūrā jānwar khāyā jāe. 5 Is ke lie ek sāl kā nar bachchā chun lenā jis meṅ nuqs na ho. Wuh bheṛ yā bakrī kā bachchā ho saktā hai.
6 Mahīne ke 14weṅ din tak us kī dekh-bhāl karo. Us din tamām Isrāīlī sūraj ke ġhurūb hote waqt apne lele zabah kareṅ. 7 Har ḳhāndān apne jānwar kā kuchh ḳhūn jamā karke use us ghar ke darwāze kī chaukhaṭ par lagāe jahāṅ lelā khāyā jāegā. Yih ḳhūn chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagāyā jāe. 8 Lāzim hai ki log jānwar ko bhūn kar usī rāt khāeṅ. Sāth hī wuh kaṛwā sāg-pāt aur beḳhamīrī roṭiyāṅ bhī khāeṅ. 9 Lele kā gosht kachchā na khānā, na use pānī meṅ ubālnā balki pūre jānwar ko sar, pairoṅ aur andarūnī hissoṅ samet āg par bhūnanā. 10 Lāzim hai ki pūrā gosht usī rāt khāyā jāe. Agar kuchh subah tak bach jāe to use jalānā hai. 11 Khānā khāte waqt aisā libās pahnanā jaise tum safr par jā rahe ho. Apne jūte pahne rakhnā aur hāth meṅ safr ke lie lāṭhī lie hue tum use jaldī jaldī khānā. Rab ke Fasah kī Īd yoṅ manānā.
12 Maiṅ āj rāt Misr meṅ se guzarūṅga aur har pahlauṭhe ko jān se mār dūṅgā, ḳhāh insān kā ho yā haiwān kā. Yoṅ maiṅ jo Rab hūṅ Misr ke tamām dewatāoṅ kī adālat karūṅga. 13 Lekin tumhāre gharoṅ par lagā huā ḳhūn tumhārā ḳhās nishān hogā. Jis jis ghar ke darwāze par maiṅ wuh ḳhūn dekhūṅgā use chhoṛtā jāūṅgā. Jab maiṅ Misr par hamlā karūṅga to mohlak wabā tum tak nahīṅ pahuṅchegī. 14 Āj kī rāt ko hameshā yād rakhnā. Ise nasl-dar-nasl aur har sāl Rab kī ḳhās īd ke taur par manānā.
Beḳhamīrī Roṭī kī Īd
15 Sāt din tak beḳhamīrī roṭī khānā hai. Pahle din apne gharoṅ se tamām ḳhamīr nikāl denā. Agar koī in sāt dinoṅ ke daurān ḳhamīr khāe to use qaum meṅ se miṭāyā jāe. 16 Is īd ke pahle aur āḳhirī din muqaddas ijtimā mun'aqid karnā. In tamām dinoṅ ke daurān kām na karnā. Sirf ek kām kī ijāzat hai aur wuh hai apnā khānā taiyār karnā. 17 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manānā lāzim hai, kyoṅki us din maiṅ tumhāre muta'addid ḳhāndānoṅ ko Misr se nikāl lāyā. Is lie yih din nasl-dar-nasl har sāl yād rakhnā. 18 Pahle mahīne ke 14weṅ din kī shām se le kar 21weṅ din kī shām tak sirf beḳhamīrī roṭī khānā. 19 Sāt din tak tumhāre gharoṅ meṅ ḳhamīr na pāyā jāe. Jo bhī is daurān ḳhamīr khāe use Isrāīl kī jamāt meṅ se miṭāyā jāe, ḳhāh wuh Isrāīlī shahrī ho yā ajnabī. 20 Ġharz, is īd ke daurān ḳhamīr na khānā. Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ beḳhamīrī roṭī hī khānā hai.
Pahlauṭhoṅ kī Halākat
21 Phir Mūsā ne tamām Isrāīlī buzurgoṅ ko bulā kar un se kahā, “Jāo, apne ḳhāndānoṅ ke lie bheṛ yā bakrī ke bachche chun kar unheṅ Fasah kī Īd ke lie zabah karo. 22 Zūfe kā guchchhā le kar use ḳhūn se bhare hue bāsan meṅ ḍubo denā. Phir use le kar ḳhūn ko chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagā denā. Subah tak koī apne ghar se na nikle. 23 Jab Rab Misriyoṅ ko mār ḍālne ke lie mulk meṅ se guzaregā to wuh chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagā huā ḳhūn dekh kar un gharoṅ ko chhoṛ degā. Wuh halāk karne wāle farishte ko ijāzat nahīṅ degā ki wuh tumhāre gharoṅ meṅ jā kar tumheṅ halāk kare.
24 Tum apnī aulād samet hameshā in hidāyāt par amal karnā. 25 Yih rasm us waqt bhī adā karnā jab tum us mulk meṅ pahuṅchoge jo Rab tumheṅ degā. 26 Aur jab tumhāre bachche tum se pūchheṅ ki ham yih īd kyoṅ manāte haiṅ 27 to un se kaho, ‘Yih Fasah kī qurbānī hai jo ham Rab ko pesh karte haiṅ. Kyoṅki jab Rab Misriyoṅ ko halāk kar rahā thā to us ne hamāre gharoṅ ko chhoṛ diyā thā.’ ”
Yih sun kar Isrāīliyoṅ ne Allāh ko sijdā kiyā. 28 Phir unhoṅ ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā aur Hārūn ko batāyā thā.
29 Ādhī rāt ko Rab ne bādshāh ke pahlauṭhe se le kar jel ke qaidī ke pahlauṭhe tak Misriyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ ko jān se mār diyā. Chaupāiyoṅ ke pahlauṭhe bhī mar gae. 30 Us rāt Misr ke har ghar meṅ koī na koī mar gayā. Firaun, us ke ohdedār aur Misr ke tamām log jāg uṭhe aur zor zor se rone aur chīḳhne lage.
Isrāīliyoṅ kī Hijrat
31 Abhī rāt thī ki Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Ab tum aur bāqī Isrāīlī merī qaum meṅ se nikal jāo. Apnī darḳhāst ke mutābiq Rab kī ibādat karo. 32 Jis tarah tum chāhte ho apnī bheṛ-bakriyoṅ ko bhī apne sāth le jāo. Aur mujhe bhī barkat denā.” 33 Bāqī Misriyoṅ ne bhī Isrāīliyoṅ par zor de kar kahā, “Jaldī jaldī mulk se nikal jāo, warnā ham sab mar jāeṅge.”
34 Isrāīliyoṅ ke gūṅdhe hue āṭe meṅ ḳhamīr nahīṅ thā. Unhoṅ ne use gūṅdhne ke bartanoṅ meṅ rakh kar apne kapṛoṅ meṅ lapeṭ liyā aur safr karte waqt apne kandhoṅ par rakh liyā. 35 Isrāīlī Mūsā kī hidāyat par amal karke apne Misrī paṛosiyoṅ ke pās gae aur un se kapṛe aur sone-chāṅdī kī chīzeṅ māṅgīṅ. 36 Rab ne Misriyoṅ ke diloṅ ko Isrāīliyoṅ kī taraf māyl kar diyā thā, is lie unhoṅ ne un kī har darḳhāst pūrī kī. Yoṅ Isrāīliyoṅ ne Misriyoṅ ko lūṭ liyā.
37 Isrāīlī Rāmsīs se rawānā ho kar Sukkāt pahuṅch gae. Auratoṅ aur bachchoṅ ko chhoṛ kar un ke 6 lākh mard the. 38 Wuh apne bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ ke baṛe baṛe rewaṛ bhī sāth le gae. Bahut-se aise log bhī un ke sāth nikle jo Isrāīlī nahīṅ the. 39 Rāste meṅ unhoṅ ne us beḳhamīrī āṭe se roṭiyāṅ banāīṅ jo wuh sāth le kar nikle the. Āṭe meṅ is lie ḳhamīr nahīṅ thā ki unheṅ itnī jaldī se Misr se nikāl diyā gayā thā ki khānā taiyār karne kā waqt hī na milā thā.
40 Isrāīlī 430 sāl tak Misr meṅ rahe the. 41 430 sāl ke ain bād, usī din Rab ke yih tamām ḳhāndān Misr se nikle. 42 Us ḳhās rāt Rab ne ḳhud pahrā diyā tāki Isrāīlī Misr se nikal sakeṅ. Is lie tamām Isrāīliyoṅ ke lie lāzim hai ki wuh nasl-dar-nasl is rāt Rab kī tāzīm meṅ jāgte raheṅ, wuh bhī aur un ke bād kī aulād bhī.
Fasah kī Īd kī Hidāyāt
43 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Fasah kī Īd ke yih usūl haiṅ:
Kisī bhī pardesī ko Fasah kī Īd kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. 44 Agar tum ne kisī ġhulām ko ḳharīd kar us kā ḳhatnā kiyā hai to wuh Fasah kā khānā khā saktā hai. 45 Lekin ġhairshahrī yā mazdūr ko Fasah kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. 46 Yih khānā ek hī ghar ke andar khānā hai. Na gosht ghar se bāhar le jānā, na lele kī kisī haḍḍī ko toṛnā. 47 Lāzim hai ki Isrāīl kī pūrī jamāt yih īd manāe. 48 Agar koī pardesī tumhāre sāth rahtā hai jo Fasah kī Īd meṅ shirkat karnā chāhe to lāzim hai ki pahle us ke gharāne ke har mard kā ḳhatnā kiyā jāe. Tab wuh Isrāīlī kī tarah khāne meṅ sharīk ho saktā hai. Lekin jis kā ḳhatnā na huā use Fasah kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. 49 Yihī usūl har ek par lāgū hogā, ḳhāh wuh Isrāīlī ho yā pardesī.”
50 Tamām Isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā thā. 51 Usī din Rab tamām Isrāīliyoṅ ko ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Misr se nikāl lāyā.