24
Paulus par Muqaddamā
1 Pāṅch din ke bād imām-e-āzam Hananiyāh, kuchh Yahūdī buzurg aur ek wakīl banām Tirtullus Qaisariyā āe tāki gawarnar ke sāmne Paulus par apnā ilzām pesh kareṅ. 2 Paulus ko bulāyā gayā to Tirtullus ne Feliks ko Yahūdiyoṅ kā ilzām pesh kiyā,
“Āp ke zer-e-hukūmat hameṅ baṛā amn-o-amān hāsil hai, aur āp kī dūrandeshī se is mulk meṅ bahut taraqqī huī hai. 3 Muazzaz Feliks, in tamām bātoṅ ke lie ham āp ke ḳhās mamnūn haiṅ. 4 Lekin maiṅ nahīṅ chāhtā ki āp merī bātoṅ se had se zyādā thak jāeṅ. Arz sirf yih hai ki āp ham par mehrbānī kā izhār karke ek lamhe ke lie hamāre muāmale par tawajjuh deṅ. 5 Ham ne is ādmī ko awām dushman pāyā hai jo pūrī duniyā ke Yahūdiyoṅ meṅ fasād paidā kartā rahtā hai. Yih Nāsarī firqe kā ek sarġhanā hai 6 aur hamāre Baitul-muqaddas kī behurmatī karne kī koshish kar rahā thā jab ham ne ise pakaṛā [tāki apnī sharīat ke mutābiq is par muqaddamā chalāeṅ. 7 Magar Lūsiyās Kamānḍar ā kar ise zabardastī ham se chhīn kar le gayā aur hukm diyā ki is ke muddaī āp ke pās hāzir hoṅ.] 8 Is kī pūchh-gachh karke āp ḳhud hamāre ilzāmāt kī tasdīq karā sakte haiṅ.” 9 Phir bāqī Yahūdiyoṅ ne us kī hāṅ meṅ hāṅ milā kar kahā ki yih wāqaī aisā hī hai.
Paulus kā Difā
10 Gawarnar ne ishārā kiyā ki Paulus apnī bāt pesh kare. Us ne jawāb meṅ kahā,
“Maiṅ jāntā hūṅ ki āp kaī sāloṅ se is qaum ke jaj muqarrar haiṅ, is lie ḳhushī se āp ko apnā difā pesh kartā hūṅ. 11 Āp ḳhud mālūm kar sakte haiṅ ki mujhe Yarūshalam gae sirf bārah din hue haiṅ. Jāne kā maqsad ibādat meṅ sharīk honā thā. 12 Wahāṅ na maiṅ ne Baitul-muqaddas meṅ kisī se bahs-mubāhasā kiyā, na shahr ke kisī ibādatḳhāne meṅ yā kisī aur jagah halchal machāī. In logoṅ ne bhī merī koī aisī harkat nahīṅ dekhī. 13 Jo ilzām yih mujh par lagā rahe haiṅ us kā koī bhī sabūt pesh nahīṅ kar sakte. 14 Beshak maiṅ taslīm kartā hūṅ ki maiṅ usī rāh par chaltā hūṅ jise yih bid'at qarār dete haiṅ. Lekin maiṅ apne bāpdādā ke Ḳhudā kī parastish kartā hūṅ. Jo kuchh bhī sharīat aur nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ likhā hai use maiṅ māntā hūṅ. 15 Aur maiṅ Allāh par wuhī ummīd rakhtā hūṅ jo yih bhī rakhte haiṅ, ki qiyāmat kā ek din hogā jab wuh rāstbāzoṅ aur nārāstoṅ ko murdoṅ meṅ se zindā kar degā. 16 Is lie merī pūrī koshish yihī hotī hai ki har waqt merā zamīr Allāh aur insān ke sāmne sāf ho.
17 Kaī sāloṅ ke bād maiṅ Yarūshalam wāpas āyā. Mere pās qaum ke ġharīboṅ ke lie ḳhairāt thī aur maiṅ Baitul-muqaddas meṅ qurbāniyāṅ bhī pesh karnā chāhtā thā. 18 Mujh par ilzām lagāne wāloṅ ne mujhe Baitul-muqaddas meṅ dekhā jab maiṅ tahārat kī rusūmāt adā kar rahā thā. Us waqt na koī hujūm thā, na fasād. 19 Lekin sūbā Āsiyā ke kuchh Yahūdī wahāṅ the. Agar unheṅ mere ḳhilāf koī shikāyat hai to unheṅ hī yahāṅ hāzir ho kar mujh par ilzām lagānā chāhie. 20 Yā yih log ḳhud batāeṅ ki jab maiṅ Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāmne khaṛā thā to unhoṅ ne merā kyā jurm mālūm kiyā. 21 Sirf yih ek jurm ho saktā hai ki maiṅ ne us waqt un ke huzūr pukār kar yih bāt bayān kī, ‘Āj mujh par is lie ilzām lagāyā jā rahā hai ki maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki murde jī uṭheṅge.’ ”
22 Feliks ne jo Īsā kī rāh se ḳhūb wāqif thā muqaddamā multawī kar diyā. Us ne kahā, “Jab Kamānḍar Lūsiyās āeṅge phir maiṅ faislā dūṅgā.” 23 Us ne Paulus par muqarrar afsar * Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar. ko hukm diyā ki wuh us kī pahrādārī to kare lekin use kuchh sahūliyāt bhī de aur us ke azīzoṅ ko us se milne aur us kī ḳhidmat karne se na roke.
Paulus Feliks aur Drūsillā ke Sāmne
24 Kuchh dinoṅ ke bād Feliks apnī ahliyā Drūsillā ke hamrāh wāpas āyā. Drūsillā Yahūdī thī. Paulus ko bulā kar unhoṅ ne Īsā par īmān ke bāre meṅ us kī bāteṅ sunīṅ. 25 Lekin jab rāstbāzī, zabt-e-nafs aur āne wālī adālat ke mazāmīn chhiṛ gae to Feliks ne ghabrā kar us kī bāt kāṭī, “Filhāl kāfī hai. Ab ijāzat hai, jab mere pās waqt hogā maiṅ āp ko bulā lūṅgā.” 26 Sāth sāth wuh yih ummīd bhī rakhtā thā ki Paulus rishwat degā, is lie wuh kaī bār use bulā kar us se bāt kartā rahā.
27 Do sāl guzar gae to Feliks kī jagah Purkiyus Festus ā gayā. Tāham us ne Paulus ko qaidḳhāne meṅ chhoṛ diyā, kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ ke sāth riāyat baratnā chāhtā thā.