34
Yūsiyāh Bādshāh Butparastī kī Muḳhālafat Kartā Hai
1 Yūsiyāh 8 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā 31 sāl thā. 2 Yūsiyāh wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā. Wuh apne bāp Dāūd ke achchhe namūne par chaltā rahā aur us se na dāīṅ, na bāīṅ taraf haṭā.
3 Apnī hukūmat ke āṭhweṅ sāl meṅ wuh apne bāp Dāūd ke Ḳhudā kī marzī talāsh karne lagā, go us waqt wuh jawān hī thā. Apnī hukūmat ke 12weṅ sāl meṅ wuh ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ, Yasīrat Dewī ke khamboṅ aur tamām tarāshe aur ḍhāle hue butoṅ ko pūre mulk se dūr karne lagā. Yoṅ tamām Yarūshalam aur Yahūdāh in chīzoṅ se pāk-sāf ho gayā. 4 Bādshāh ke zer-e-nigarānī Bāl dewatāoṅ kī qurbāngāhoṅ ko ḍhā diyā gayā. Baḳhūr kī jo qurbāngāheṅ un ke ūpar thīṅ unheṅ us ne ṭukṛe ṭukṛe kar diyā. Yasīrat Dewī ke khamboṅ aur tarāshe aur ḍhāle hue butoṅ ko zamīn par paṭaḳh kar us ne unheṅ pīs kar un kī qabroṅ par bikher diyā jinhoṅ ne jīte-jī un ko qurbāniyāṅ pesh kī thīṅ. 5 Butparast pujāriyoṅ kī haḍḍiyoṅ ko un kī apnī qurbāngāhoṅ par jalāyā gayā. Is tarah se Yūsiyāh ne Yarūshalam aur Yahūdāh ko pāk-sāf kar diyā. 6-7 Yih us ne na sirf Yahūdāh balki Manassī, Ifrāīm, Shamāūn aur Naftālī tak ke shahroṅ meṅ irdgird ke khanḍarāt samet bhī kiyā. Us ne qurbāngāhoṅ ko girā kar Yasīrat Dewī ke khamboṅ aur butoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe karke chaknāchūr kar diyā. Tamām Isrāīl kī baḳhūr kī qurbāngāhoṅ ko us ne ḍhā diyā. Is ke bād wuh Yarūshalam wāpas chalā gayā.
Rab ke Ghar kī Marammat
8 Apnī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yūsiyāh ne Sāfan bin Asaliyāh, Yarūshalam par muqarrar afsar Māsiyāh aur bādshāh ke mushīr-e-ḳhās Yuāḳh bin Yuāḳhaz ko Rab apne Ḳhudā ke ghar ke pās bhejā tāki us kī marammat karwāeṅ. Us waqt mulk aur Rab ke ghar ko pāk-sāf karne kī muhimm jārī thī. 9 Imām-e-āzam Ḳhilqiyāh ke pās jā kar unhoṅ ne use wuh paise die jo Lāwī ke darbānoṅ ne Rab ke ghar meṅ jamā kie the. Yih hadiye Manassī aur Ifrāīm ke bāshindoṅ, Isrāīl ke tamām bache hue logoṅ aur Yahūdāh, Binyamīn aur Yarūshalam ke rahne wāloṅ kī taraf se pesh kie gae the.
10 Ab yih paise un ṭhekedāroṅ ke hawāle kar die gae jo Rab ke ghar kī marammat karwā rahe the. In paisoṅ se ṭhekedāroṅ ne un kārīgaroṅ kī ujrat adā kī jo Rab ke ghar kī marammat karke use mazbūt kar rahe the. 11 Kārīgaroṅ aur tāmīr karne wāloṅ ne in paisoṅ se tarāshe hue patthar aur shahtīroṅ kī lakaṛī bhī ḳharīdī. Imāratoṅ meṅ shahtīroṅ ko badalne kī zarūrat thī, kyoṅki Yahūdāh ke bādshāhoṅ ne un par dhyān nahīṅ diyā thā, lihāzā wuh gal gae the. 12 In ādmiyoṅ ne wafādārī se ḳhidmat saranjām dī. Chār Lāwī in kī nigarānī karte the jin meṅ Yahat aur Abadiyāh Mirārī ke ḳhāndān ke the jabki Zakariyāh aur Masullām Qihāt ke ḳhāndān ke the. Jitne Lāwī sāz bajāne meṅ māhir the 13 wuh mazdūroṅ aur tamām dīgar kārīgaroṅ par muqarrar the. Kuchh aur Lāwī munshī, nigarān aur darbān the.
Rab ke Ghar meṅ Sharīat kī Kitāb Mil Jātī Hai
14 Jab wuh paise bāhar lāe gae jo Rab ke ghar meṅ jamā hue the to Ḳhilqiyāh ko sharīat kī wuh kitāb milī jo Rab ne Mūsā kī mārifat dī thī. 15 Use mīrmunshī Sāfan ko de kar us ne kahā, “Mujhe Rab ke ghar meṅ Sharīat kī Kitāb milī hai.” 16 Tab Sāfan kitāb ko le kar bādshāh ke pās gayā aur use ittalā dī, “Jo bhī zimmedārī āp ke mulāzimoṅ ko dī gaī unheṅ wuh achchhī tarah pūrā kar rahe haiṅ. 17 Unhoṅ ne Rab ke ghar meṅ jamāshudā paise marammat par muqarrar ṭhekedāroṅ aur bāqī kām karne wāloṅ ko de die haiṅ.” 18 Phir Sāfan ne bādshāh ko batāyā, “Ḳhilqiyāh ne mujhe ek kitāb dī hai.” Kitāb ko khol kar wuh bādshāh kī maujūdagī meṅ us kī tilāwat karne lagā.
19 Kitāb kī bāteṅ sun kar bādshāh ne ranjīdā ho kar apne kapṛe phāṛ lie. 20 Us ne Ḳhilqiyāh, Aḳhīqām bin Sāfan, Abdon bin Mīkāh, mīrmunshī Sāfan aur apne ḳhās ḳhādim Asāyāh ko bulā kar unheṅ hukm diyā, 21 “Jā kar merī aur Isrāīl aur Yahūdāh ke bache hue afrād kī ḳhātir Rab se is kitāb meṅ darj bātoṅ ke bāre meṅ dariyāft kareṅ. Rab kā jo ġhazab ham par nāzil hone wālā hai wuh nihāyat saḳht hai, kyoṅki hamāre bāpdādā na Rab ke farmān ke tābe rahe, na un hidāyāt ke mutābiq zindagī guzārī hai jo kitāb meṅ darj kī gaī haiṅ.”
22 Chunāṅche Ḳhilqiyāh Bādshāh ke bheje hue chand ādmiyoṅ ke sāth Ḳhuldā Nabiyā ko milne gayā. Ḳhuldā kā shauhar Sallūm bin toqahat bin ḳhasrā Rab ke ghar ke kapṛe saṅbhāltā thā. Wuh Yarūshalam ke nae ilāqe meṅ rahte the. 23-24 Ḳhuldā ne unheṅ jawāb diyā,
“Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai ki jis ādmī ne tumheṅ bhejā hai use batā denā, ‘Rab farmātā hai ki maiṅ is shahr aur is ke bāshindoṅ par āfat nāzil karūṅga. Wuh tamām lānateṅ pūrī ho jāeṅgī jo bādshāh ke huzūr paṛhī gaī kitāb meṅ bayān kī gaī haiṅ. 25 Kyoṅki merī qaum ne mujhe tark karke dīgar mābūdoṅ ko qurbāniyāṅ pesh kī haiṅ aur apne hāthoṅ se but banā kar mujhe taish dilāyā hai. Merā ġhazab is maqām par nāzil ho jāegā aur kabhī ḳhatm nahīṅ hogā.’ 26 Lekin Yahūdāh ke bādshāh ke pās jāeṅ jis ne āp ko Rab se dariyāft karne ke lie bhejā hai aur use batā deṅ ki Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī bāteṅ sun kar 27 terā dil narm ho gayā hai. Jab tujhe patā chalā ki maiṅ ne is maqām aur is ke bāshindoṅ ke ḳhilāf bāt kī hai to tū ne apne āp ko Allāh ke sāmne past kar diyā. Tū ne baṛī inkisārī se ranjīdā ho kar apne kapṛe phāṛ lie aur mere huzūr phūṭ phūṭ kar royā. Rab farmātā hai ki yih dekh kar maiṅ ne terī sunī hai. 28 Jab tū mere kahne par mar kar apne bāpdādā se jā milegā to salāmatī se dafn hogā. Jo āfat maiṅ shahr aur us ke bāshindoṅ par nāzil karūṅga wuh tū ḳhud nahīṅ dekhegā.’ ”
Afsar bādshāh ke pās wāpas gae aur use Ḳhuldā kā jawāb sunā diyā.
Yūsiyāh Rab se Ahd Bāndhtā Hai
29 Tab bādshāh Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām buzurgoṅ ko bulā kar 30 Rab ke ghar meṅ gayā. Sab log chhoṭe se le kar baṛe tak us ke sāth gae yānī Yahūdāh ke ādmī, Yarūshalam ke bāshinde, imām aur Lāwī. Wahāṅ pahuṅch kar jamāt ke sāmne ahd kī us pūrī kitāb kī tilāwat kī gaī jo Rab ke ghar meṅ milī thī.
31 Phir bādshāh ne apne satūn ke pās khaṛe ho kar Rab ke huzūr ahd bāndhā aur wādā kiyā, “Ham Rab kī pairawī kareṅge, ham pūre dil-o-jān se us ke ahkām aur hidāyāt pūrī karke is kitāb meṅ darj ahd kī bāteṅ qāym rakheṅge.” 32 Yūsiyāh ne mutālabā kiyā ki Yarūshalam aur Yahūdāh ke tamām bāshinde ahd meṅ sharīk ho jāeṅ. Us waqt se Yarūshalam ke bāshinde apne bāpdādā ke Ḳhudā ke ahd ke sāth lipṭe rahe.
33 Yūsiyāh ne Isrāīl ke pūre mulk se tamām ghinaune butoṅ ko dūr kar diyā. Isrāīl ke tamām bāshindoṅ ko us ne tākīd kī, “Rab apne Ḳhudā kī ḳhidmat kareṅ.” Chunāṅche Yūsiyāh ke jīte-jī wuh Rab apne bāpdādā kī rāh se dūr na hue.